wo aarzu na rahi aur wo muddaa na raha
vo aarzū na rahī aur vo mudda.ā na rahā
hamāre aap ke hargiz vo mājrā na rahā
sar-e-niyāz rahā zer-e-pā-e-yād mudām
hinā kī tarah maiñ qadmoñ se kab lagā na rahā
dil āshnā.ī ko chāhe kisī kī ḳhaak mirā
ki āshnā jo huā thā vo āshnā na rahā
hamesha jis se pahuñchtā rahe thā dil ko alam
hazār shukr ki vo dard-e-be-davā na rahā
jab aap ham ne butāñ tark āshnā.ī kī
kisī bhī tarah kā tum se hameñ gilā na rahā
guloñ ke chehroñ pe zardī sī phir rahī hai tamām
ga.ī bahār vo mausam kā ibtidā na rahā
safā-e-sīna se phislā na kab dil-e-āshiq
ki chāh-e-nāf meñ vo ḳhūñ-girafta jā na rahā
hazār harf-e-zabāñ-soz darmiyāñ aa.e
hai sach to ye ki mohabbat meñ vo mazā na rahā
chaman ko chhoḌ ham aise chale ga.e sū-e-dasht
ki naam ko bhī phir andesha-e-sabā na rahā
ye kis ke chāh-e-zanaḳhdāñ kī fikr meñ Duubā
tamām raat jo zaanū se sar judā na rahā
ajab na jaan gar aa jaa.e saltanat ko zavāl
kisī ke sar pe sadā sāya-e-humā na rahā
nishān-e-'mus.hafī'-e-ḳhasta pūchhte kyā ho
vo ḳhāk-e-rāh to ab misl-e-naqsh-e-pā na rahā
wo aarzu na rahi aur wo muddaa na raha
hamare aap ke hargiz wo majra na raha
sar-e-niyaz raha zer-e-pa-e-yaad mudam
hina ki tarah main qadmon se kab laga na raha
dil aashnai ko chahe kisi ki KHak mera
ki aashna jo hua tha wo aashna na raha
hamesha jis se pahunchta rahe tha dil ko alam
hazar shukr ki wo dard-e-be-dawa na raha
jab aap hum ne butan tark aashnai ki
kisi bhi tarah ka tum se hamein gila na raha
gulon ke chehron pe zardi si phir rahi hai tamam
gai bahaar wo mausam ka ibtida na raha
safa-e-sina se phisla na kab dil-e-ashiq
ki chah-e-naf mein wo KHun-girafta ja na raha
hazar harf-e-zaban-soz darmiyan aae
hai sach to ye ki mohabbat mein wo maza na raha
chaman ko chhoD hum aise chale gae su-e-dasht
ki nam ko bhi phir andesha-e-saba na raha
ye kis ke chah-e-zanaKHdan ki fikr mein Duba
tamam raat jo zanu se sar juda na raha
ajab na jaan gar aa jae saltanat ko zawal
kisi ke sar pe sada saya-e-huma na raha
nishan-e-'mushafi'-e-KHasta puchhte kya ho
wo KHak-e-rah to ab misl-e-naqsh-e-pa na raha
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 78)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.