wo ab bhi aaine se laD raha hai
vo ab bhī aa.ine se laḌ rahā hai
musalsal apne andar saḌ rahā hai
yahāñ har shahr meñ hai raqs-e-bismil
vo phir bhī jhūTā qissa gaḌh rahā hai
merī tahrīr par sad yūrisheñ haiñ
taḳhayyul shāḳh se kyoñ jhaḌ rahā hai
kitāb-e-zīst ke har ik varq par
koī kiiḌā 'ibārat paḌh rahā hai
ai zāhid duur rahnā kaj-kulah se
vo apne sar pe ḳhud hī chaḌh rahā hai
wo ab bhi aaine se laD raha hai
musalsal apne andar saD raha hai
yahan har shahr mein hai raqs-e-bismil
wo phir bhi jhuTa qissa gaDh raha hai
meri tahrir par sad yurishen hain
taKHayyul shaKH se kyon jhaD raha hai
kitab-e-zist ke har ek warq par
koi kiDa 'ibarat paDh raha hai
ai zahid dur rahna kaj-kulah se
wo apne sar pe KHud hi chaDh raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.