Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ab jang-o-jadal kuchh bhi nahin hai

Imtiyaz Danish Nadwi

wo ab jang-o-jadal kuchh bhi nahin hai

Imtiyaz Danish Nadwi

MORE BYImtiyaz Danish Nadwi

    vo ab jañg-o-jadal kuchh bhī nahīñ hai

    nahīñ dasht-o-jabal kuchh bhī nahīñ hai

    ḳhasāre badal kuchh bhī nahīñ hai

    magar māthe pe bal kuchh bhī nahīñ hai

    ajab ḳhush-shakl aur ḳhush-posh hai vo

    shikan koī na shal kuchh bhī nahīñ hai

    har ik shai āsmāñ par hai salāmat

    zamīñ par bar-mahal kuchh bhī nahīñ hai

    use bhī kho ke kitne mutma.in haiñ

    vo shai jis badal kuchh bhī nahīñ hai

    ġhanīmat jāniye hai aaj jo kuchh

    ye mat kahiyegā kal kuchh bhī nahīñ hai

    kareñge ruḳh udhar kaise parinde

    shajar pe phuul phal kuchh bhī nahīñ hai

    ilāhī terī rahmat se hai ummīd

    hamārā to amal kuchh bhī nahīñ hai

    jise ḳhauf-e-ḳhudā har dam hai 'dānish'

    use ḳhauf-e-ajal kuchh bhī nahīñ hai

    wo ab jang-o-jadal kuchh bhi nahin hai

    nahin dasht-o-jabal kuchh bhi nahin hai

    KHasare ka badal kuchh bhi nahin hai

    magar mathe pe bal kuchh bhi nahin hai

    ajab KHush-shakl aur KHush-posh hai wo

    shikan koi na shal kuchh bhi nahin hai

    har ek shai aasman par hai salamat

    zamin par bar-mahal kuchh bhi nahin hai

    use bhi kho ke kitne mutmain hain

    wo shai jis ka badal kuchh bhi nahin hai

    ghanimat jaaniye hai aaj jo kuchh

    ye mat kahiyega kal kuchh bhi nahin hai

    karenge ruKH udhar kaise parinde

    shajar pe phul phal kuchh bhi nahin hai

    ilahi teri rahmat se hai ummid

    hamara to amal kuchh bhi nahin hai

    jise KHauf-e-KHuda har dam hai 'danish'

    use KHauf-e-ajal kuchh bhi nahin hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now