wo ab pahli si tujh mein KHu nahin hai
vo ab pahlī sī tujh meñ ḳhū nahīñ hai
vahī maiñ huuñ magar vo tū nahīñ hai
jahāñ kā dard-o-ġham hai dil meñ lekin
hamārī aañkh meñ aañsū nahīñ hai
gulistāñ meñ nahīñ chaltī sabā bhī
guloñ meñ rang to hai bū nahīñ hai
fazā meñ zahr ye phailā hai kaisā
rifāqat kī kahīñ ḳhushbū nahīñ hai
mire qabze meñ hai har chiiz lekin
mire dil par mujhe qaabū nahīñ hai
kasak hai karb hai sozish hai 'sālik'
mire ash.ār meñ jaadū nahīñ hai
wo ab pahli si tujh mein KHu nahin hai
wahi main hun magar wo tu nahin hai
jahan ka dard-o-gham hai dil mein lekin
hamari aankh mein aansu nahin hai
gulistan mein nahin chalti saba bhi
gulon mein rang to hai bu nahin hai
faza mein zahr ye phaila hai kaisa
rifaqat ki kahin KHushbu nahin hai
mere qabze mein hai har chiz lekin
mere dil par mujhe qabu nahin hai
kasak hai karb hai sozish hai 'salik'
mere ashaar mein jadu nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.