wo ada fareb-e-mahfil wo nazar bala-e-jaan hai
vo adā fareb-e-mahfil vo nazar balā-e-jāñ hai
mujhe kyā yaqīn aa.e ki vo mujh pe mehrbāñ hai
kabhī aañkh se hai dil tak kabhī dil se hai jigar tak
jo milī hai us nazar se vo ḳhalish kahāñ kahāñ hai
jo udhar hai be-qarārī vahī bekalī idhar hai
na sukūn-e-dil yahāñ hai na sukūn-e-dil vahāñ hai
tujhe be-ruḳhī mubārak mujhe ġham pe ġham diye jā
mirī himmateñ salāmat mirā hausla javāñ hai
mire hoñT siine vaale kabhī tū ne ye bhī sochā
vahāñ ḳhāmushī se hāsil jahāñ ḳhāmushī zabāñ hai
hue ik chaman meñ paidā magar apnī apnī qismat
koī ḳhaar ban ke khaTkā koī husn-e-gulsitāñ hai
koī 'bazm' ye na pūchhe ye mu'āmla hai dil kā
ki jahāñ qadam vo rakh de vo zamīñ bhī āsmāñ hai
wo ada fareb-e-mahfil wo nazar bala-e-jaan hai
mujhe kya yaqin aae ki wo mujh pe mehrban hai
kabhi aankh se hai dil tak kabhi dil se hai jigar tak
jo mili hai us nazar se wo KHalish kahan kahan hai
jo udhar hai be-qarari wahi bekali idhar hai
na sukun-e-dil yahan hai na sukun-e-dil wahan hai
tujhe be-ruKHi mubarak mujhe gham pe gham diye ja
meri himmaten salamat mera hausla jawan hai
mere honT sine wale kabhi tu ne ye bhi socha
wahan KHamushi se hasil jahan KHamushi zaban hai
hue ek chaman mein paida magar apni apni qismat
koi KHar ban ke khaTka koi husn-e-gulsitan hai
koi 'bazm' ye na puchhe ye mu'amla hai dil ka
ki jahan qadam wo rakh de wo zamin bhi aasman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.