wo ahd-e-muKHlisana ab kahan hai
vo ahd-e-muḳhlisāna ab kahāñ hai
laḌakpan kā zamāna ab kahāñ hai
vahī hai chāñd taare bhī vahī haiñ
mohabbat vālihāna ab kahāñ hai
sarāb-e-zindagī āñkhoñ meñ raushan
nigāh-e-tā.irāna ab kahāñ hai
ayaañ zulmat ke pahre bastī bastī
vo azm-e-fātehāna ab kahāñ hai
tajassus meñ hamārī umr guzrī
muhājir kā Thikāna ab kahāñ hai
sanad kā zo.am zehn-o-dil meñ lekin
shu.ūr-e-ālimāna ab kahāñ hai
koī 'ġhālib' koī 'iqbāl' 'nashtar'
vo mansab shā.irāna ab kahāñ hai
wo ahd-e-muKHlisana ab kahan hai
laDakpan ka zamana ab kahan hai
wahi hai chand tare bhi wahi hain
mohabbat walihana ab kahan hai
sarab-e-zindagi aankhon mein raushan
nigah-e-tairana ab kahan hai
ayan zulmat ke pahre basti basti
wo azm-e-fatehana ab kahan hai
tajassus mein hamari umr guzri
muhajir ka Thikana ab kahan hai
sanad ka zoam zehn-o-dil mein lekin
shuur-e-alimana ab kahan hai
koi 'ghaalib' koi 'iqbaal' 'nashtar'
wo mansab shairana ab kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.