wo aise pesh aaya mujhse jaise jaanta nahin
vo aise pesh aayā mujh se jaise jāntā nahīñ
agarche naam us kā maiñ kabhī bhī bhūltā nahīñ
ye dil bhī hai ke us kī bevafā.ī māntā nahīñ
magar sivā.e us ke ab kisī se rābta nahīñ
vo jādūgar hai lafzoñ kā tū us se duur rahnā siikh
us aadmī ke baare meñ abhī tū jāntā nahīñ
muqaddar apnā gar bichhaḌnā hī huā to Thiik hai
merī nazar meñ ab bichhaḌnā koī hādisa nahīñ
yahāñ to ġham kī boliyāñ lagā.ī jaatī haiñ miyāñ
tumhāre dard se yahāñ koī bhī āshnā nahīñ
ki merā ḳhvāb bhī hai vo mirā ḳhayāl bhī hai vo
ye sach hai 'ġhāzī' bhuul kar bhī us ko bhūltā nahīñ
wo aise pesh aaya mujh se jaise jaanta nahin
agarche nam us ka main kabhi bhi bhulta nahin
ye dil bhi hai ke us ki bewafai manta nahin
magar siwae us ke ab kisi se rabta nahin
wo jadugar hai lafzon ka tu us se dur rahna sikh
us aadmi ke bare mein abhi tu jaanta nahin
muqaddar apna gar bichhaDna hi hua to Thik hai
meri nazar mein ab bichhaDna koi hadisa nahin
yahan to gham ki boliyan lagai jati hain miyan
tumhaare dard se yahan koi bhi aashna nahin
ki mera KHwab bhi hai wo mera KHayal bhi hai wo
ye sach hai 'ghazi' bhul kar bhi us ko bhulta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.