wo apne ghar ki bhalai ko dekh lete hain
vo apne ghar kī bhalā.ī ko dekh lete haiñ
ġhalat-sahī meñ bhī bhaa.ī ko dekh lete haiñ
vo log merī tarah zahr pī nahīñ sakte
paḌhe-likhe haiñ davā.ī ko dekh lete haiñ
tum is ke paas zabāñ kholnā tarīqe se
ye jaan kar bhī baḌā.ī ko dekh lete haiñ
baḌe ġhurūr meñ rakkhā hai tum ko shohrat ne
chalo tumhārī ḳhudā.ī ko dekh lete haiñ
hameñ jo faisle karne haiñ tai haiñ pahle se
magar ravish hai safā.ī ko dekh lete haiñ
wo apne ghar ki bhalai ko dekh lete hain
ghalat-sahi mein bhi bhai ko dekh lete hain
wo log meri tarah zahr pi nahin sakte
paDhe-likhe hain dawai ko dekh lete hain
tum is ke pas zaban kholna tariqe se
ye jaan kar bhi baDai ko dekh lete hain
baDe ghurur mein rakkha hai tum ko shohrat ne
chalo tumhaari KHudai ko dekh lete hain
hamein jo faisle karne hain tai hain pahle se
magar rawish hai safai ko dekh lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.