wo apne juzw mein khoya gaya hai is had tak
vo apne juzv meñ khoyā gayā hai is had tak
ki us kī fahm se bāhar hai kal kī abjad tak
khaḌī haiñ raushaniyāñ dast-basta sadiyoñ se
hirā ke ġhaar se le kar gayā ke bargad tak
uThe to us ke fusūñ se lahak lahak jaa.e
nazar pahuñch na sake us kī qāmat-o-qad tak
pata chalā ki harārat nahīñ rahī dil meñ
guzar ke aag se aa.e the apne maqsad tak
vahī asaas banā umr ke hisāboñ kī
pahāḌā yaad kiyā thā jo ek se sad tak
vahī jo dosh par apne uThā sakā ḳhud ko
nasheb-e-farsh se pahuñchā farāz-e-masnad tak
wo apne juzw mein khoya gaya hai is had tak
ki us ki fahm se bahar hai kal ki abjad tak
khaDi hain raushaniyan dast-basta sadiyon se
hira ke ghaar se le kar gaya ke bargad tak
uThe to us ke fusun se lahak lahak jae
nazar pahunch na sake us ki qamat-o-qad tak
pata chala ki hararat nahin rahi dil mein
guzar ke aag se aae the apne maqsad tak
wahi asas bana umr ke hisabon ki
pahaDa yaad kiya tha jo ek se sad tak
wahi jo dosh par apne uTha saka KHud ko
nasheb-e-farsh se pahuncha faraaz-e-masnad tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.