wo apne pyason ko jab bhi sazaen dete hain
vo apne pyāsoñ ko jab bhī sazā.eñ dete haiñ
to canvas pe banā kar ghaTā.eñ dete haiñ
daraḳht vaise to sākit haiñ pur-sukūñ bhī magar
koī jo chheḌe to phir ye havā.eñ dete haiñ
ye log kaun haiñ kaise haiñ kyā haiñ aur kyoñ haiñ
faqīr ban ke jo dar-dar sadā.eñ dete haiñ
jab un kī ek nazar bhī nahīñ hamārī taraf
to apne aap ko ham kyoñ gañvā.eñ dete haiñ
hamāre shahr meñ aise buzurg haiñ ab bhī
jo ik salām pe lākhoñ du'ā.eñ dete haiñ
unhīñ ke haath pe bai'at kareñ chalo ham bhī
jo zindagī nahīñ dete qazā.eñ dete haiñ
wo apne pyason ko jab bhi sazaen dete hain
to canwas pe bana kar ghaTaen dete hain
daraKHt waise to sakit hain pur-sukun bhi magar
koi jo chheDe to phir ye hawaen dete hain
ye log kaun hain kaise hain kya hain aur kyon hain
faqir ban ke jo dar-dar sadaen dete hain
jab un ki ek nazar bhi nahin hamari taraf
to apne aap ko hum kyon ganwaen dete hain
hamare shahr mein aise buzurg hain ab bhi
jo ek salam pe lakhon du'aen dete hain
unhin ke hath pe bai'at karen chalo hum bhi
jo zindagi nahin dete qazaen dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.