wo apne zarb-e-lams se na-ashna nahin
vo apne zarb-e-lams se nā-āshnā nahīñ
kis ne kahā ki zaḳhm ye sabr-āzmā nahīñ
achchhā huā ki ham haiñ hisār-e-ḳhayāl meñ
apne vatan kā aur koī rāsta nahīñ
ā.īna saath rakh ke chalūñ poñchh kar jabīn
tasvīr ab bhī apnī koī dekhtā nahīñ
sahrā-e-hosh meñ bhī ka.ī baar gum hue
rahrav the rāhzan the kisī ko pata nahīñ
tārīkiyoñ ke saa.e bhī kitne muhīb haiñ
ham ko tulū-e-mehr kā koī gila nahīñ
gherā hai terī ruuh kī āvāz ne mujhe
huuñ dasht-e-ḳhāmushī meñ rahā hausla nahīñ
chingāriyāñ haiñ raushnī hai kārvān hai
ye vaqt jabki raat hai utnā burā nahīñ
sho.ala-ruḳhān-e-vaqt kī ātish-mizājiyāñ
rangīniyoñ kī ab bhī koī intihā nahīñ
yādoñ kī raushnī meñ tasavvur hai gāmzan
'nāzir' hamāre saath koī dūsrā nahīñ
wo apne zarb-e-lams se na-ashna nahin
kis ne kaha ki zaKHm ye sabr-azma nahin
achchha hua ki hum hain hisar-e-KHayal mein
apne watan ka aur koi rasta nahin
aaina sath rakh ke chalun ponchh kar jabin
taswir ab bhi apni koi dekhta nahin
sahra-e-hosh mein bhi kai bar gum hue
rahraw the rahzan the kisi ko pata nahin
tarikiyon ke sae bhi kitne muhib hain
hum ko tulu-e-mehr ka koi gila nahin
ghera hai teri ruh ki aawaz ne mujhe
hun dasht-e-KHamushi mein raha hausla nahin
chingariyan hain raushni hai karwan hai
ye waqt jabki raat hai utna bura nahin
shoala-ruKHan-e-waqt ki aatish-mizajiyan
ranginiyon ki ab bhi koi intiha nahin
yaadon ki raushni mein tasawwur hai gamzan
'nazir' hamare sath koi dusra nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.