wo apni zat ki tashhir se nikal aaya
vo apnī zaat kī tash.hīr se nikal aayā
zabāñ kā zahr thā taqrīr se nikal aayā
hatheliyoñ kī lakīroñ meñ thā jo poshīda
tumhāre haath kī tahrīr se nikal aayā
tumhārī yaad jo aa.ī to dil meñ huuk uThī
purānā zaḳhm na.e tiir se nikal aayā
tamām umr thī jis kī talāsh vo patthar
mire makān kī ta.amīr se nikal aayā
zarā sī der ḳhayāloñ meñ guftugū kī thī
phir is ke baad vo tasvīr se nikal aayā
shifā kā naam bhī zaitūn se huā mansūb
vafā kā shahad bhī injīr se nikal aayā
ik āftāb-e-vafā ek māhtāb-e-nūr
hamāre ishq kī tanvīr se nikal aayā
wo apni zat ki tashhir se nikal aaya
zaban ka zahr tha taqrir se nikal aaya
hatheliyon ki lakiron mein tha jo poshida
tumhaare hath ki tahrir se nikal aaya
tumhaari yaad jo aai to dil mein huk uThi
purana zaKHm nae tir se nikal aaya
tamam umr thi jis ki talash wo patthar
mere makan ki tamir se nikal aaya
zara si der KHayalon mein guftugu ki thi
phir is ke baad wo taswir se nikal aaya
shifa ka nam bhi zaitun se hua mansub
wafa ka shahad bhi injir se nikal aaya
ek aaftab-e-wafa ek mahtab-e-nur
hamare ishq ki tanwir se nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.