wo aur hain jinhen ehsas-e-tirgi hai bahut
vo aur haiñ jinheñ ehsās-e-tīrgī hai bahut
yahāñ to TūTte lamhoñ kī raushnī hai bahut
hameñ bhī kar diyā shāmil unhīñ meñ logoñ ne
ki jin kī fikr-o-nazar meñ shikastagī hai bahut
kahāñ chale ga.e jāñ-dād-gān-e-shauq-o-vafā
hamāre hote hue bhī yahāñ kamī hai bahut
vo ik ḳhalish jo tirī yaad se qarīb bhī hai
tamām umr ko mere liye vahī hai bahut
zarā sī der hī mil kar bichhaḌne vāloñ ko
ḳhayāl-e-zāt hai kam pās-e-tishnagī hai bahut
tujhe ḳhabar bhī hai rātoñ ko jāgne vaale
mizāj merī bhī āñkhoñ kā shabnamī hai bahut
isī sabab se maiñ aksar udhar nahīñ jaatā
tumhāre baare meñ ik raah pūchhtī hai bahut
maiñ apne pairahan-e-tār-tār ke qurbāñ
ki sang-o-ḳhisht kī bārish meñ to yahī hai bahut
'rabāb' ḳhud ko hī fikr-o-nazar meñ rakhte hue
yahāñ se guzro ki har samt be-ruḳhī hai bahut
wo aur hain jinhen ehsas-e-tirgi hai bahut
yahan to TuTte lamhon ki raushni hai bahut
hamein bhi kar diya shamil unhin mein logon ne
ki jin ki fikr-o-nazar mein shikastagi hai bahut
kahan chale gae jaan-dad-gan-e-shauq-o-wafa
hamare hote hue bhi yahan kami hai bahut
wo ek KHalish jo teri yaad se qarib bhi hai
tamam umr ko mere liye wahi hai bahut
zara si der hi mil kar bichhaDne walon ko
KHayal-e-zat hai kam pas-e-tishnagi hai bahut
tujhe KHabar bhi hai raaton ko jagne wale
mizaj meri bhi aankhon ka shabnami hai bahut
isi sabab se main aksar udhar nahin jata
tumhaare bare mein ek rah puchhti hai bahut
main apne pairahan-e-tar-tar ke qurban
ki sang-o-KHisht ki barish mein to yahi hai bahut
'rabab' KHud ko hi fikr-o-nazar mein rakhte hue
yahan se guzro ki har samt be-ruKHi hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.