wo aur hain jinhen haalat sazgar mile
vo aur haiñ jinheñ hālāt sāzgār mile
hameñ to phuul kī chāhat meñ sirf ḳhaar mile
bahār-e-lāla-o-gul kā huuñ mustahiq maiñ bhī
mujhe bhī kaash kabhī mausam-e-bahār mile
ye sard aaheñ ye andoh-o-ġham ye bechainī
sile vafā ke mujhe kitne shāndār mile
badal vafā kā vafā hī milegā sochā thā
is aarzū meñ magar zaḳhm be-shumār mile
dayār-e-ġham meñ bhī maiñ muskurā ke jī lūñgā
agar jahāñ meñ koī mujh ko ġham-gusār mile
sunā sakā na kabhī dāstān-e-dil un ko
mile to dosh-e-havā par mujhe savār mile
ye kaise maan luuñ ḳhush haiñ vo apnī duniyā meñ
mujhe vo jab bhī mile haiñ to sogvār mile
wo aur hain jinhen haalat sazgar mile
hamein to phul ki chahat mein sirf KHar mile
bahaar-e-lala-o-gul ka hun mustahiq main bhi
mujhe bhi kash kabhi mausam-e-bahaar mile
ye sard aahen ye andoh-o-gham ye bechaini
sile wafa ke mujhe kitne shandar mile
badal wafa ka wafa hi milega socha tha
is aarzu mein magar zaKHm be-shumar mile
dayar-e-gham mein bhi main muskura ke ji lunga
agar jahan mein koi mujh ko gham-gusar mile
suna saka na kabhi dastan-e-dil un ko
mile to dosh-e-hawa par mujhe sawar mile
ye kaise man lun KHush hain wo apni duniya mein
mujhe wo jab bhi mile hain to sogwar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.