wo ba-rang-e-etibar aankhon mein hai
vo ba-rañg-e-e'tibār āñkhoñ meñ hai
ek taskīñ ik qarār āñkhoñ meñ hai
maiñ na.ī rut ke safar par huuñ magar
pichhle mausam kā ḳhumār āñkhoñ meñ hai
ḳhair-maqdam kah rahe haiñ surḳh lab
chāhatoñ kā ishtihār āñkhoñ meñ hai
raushnī kī tarah vo ruḳhsat huā
jugnuoñ kī ik qatār āñkhoñ meñ hai
Dūbte lamhoñ kī kashtī par savār
kārvān-e-intizār āñkhoñ meñ hai
ek tūfāñ dil kī gardish meñ 'suḳhan'
ek jū-e-ashk-bār āñkhoñ meñ hai
wo ba-rang-e-e'tibar aankhon mein hai
ek taskin ek qarar aankhon mein hai
main nai rut ke safar par hun magar
pichhle mausam ka KHumar aankhon mein hai
KHair-maqdam kah rahe hain surKH lab
chahaton ka ishtihaar aankhon mein hai
raushni ki tarah wo ruKHsat hua
jugnuon ki ek qatar aankhon mein hai
Dubte lamhon ki kashti par sawar
karwan-e-intizar aankhon mein hai
ek tufan dil ki gardish mein 'suKHan'
ek ju-e-ashk-bar aankhon mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.