wo bar bar mera dil KHushi se toDe par
vo baar baar mirā dil ḳhushī se toḌe par
na āñdhiy.oñ meñ kabūtar miyāñ ke chhoḌe par
jahāñ vo dafn hue the gulāb ugne lage
shadīd zulm huā thā ġharīb joḌe par
kabhī to saa.e meñ baiThā karo buzurgoñ ke
savār rahte ho har pal havā ke ghoḌe par
vo aaj raat bhī pal-bhar ko ḳhvāb meñ aa.e
guzāra aaj bhī ham ne kiyā hai thoḌe par
tumhārā saañp tumhī ko nigalne vaalā hai
ki be-ḳhatāoñ kā ḳhuuñ hai tumhāre koḌe par
hamāre paañv ke nīche bhī kuchh sitāre hoñ
tavajjoh is liye kī rāste ke roḌe par
ye niiñd hai ki koī maut TūTtī hī nahīñ
'sa'ūd' har tarah shāhīn ke jhiñjhoḌe par
wo bar bar mera dil KHushi se toDe par
na aandhiyon mein kabutar miyan ke chhoDe par
jahan wo dafn hue the gulab ugne lage
shadid zulm hua tha gharib joDe par
kabhi to sae mein baiTha karo buzurgon ke
sawar rahte ho har pal hawa ke ghoDe par
wo aaj raat bhi pal-bhar ko KHwab mein aae
guzara aaj bhi hum ne kiya hai thoDe par
tumhaara sanp tumhi ko nigalne wala hai
ki be-KHataon ka KHun hai tumhaare koDe par
hamare panw ke niche bhi kuchh sitare hon
tawajjoh is liye ki raste ke roDe par
ye nind hai ki koi maut TuTti hi nahin
'sa'ud' har tarah shahin ke jhinjhoDe par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.