wo bar-e-farz-e-takalluf mujhi ko Dhona paDa
vo bār-e-farz-e-takalluf mujhī ko Dhonā paḌā
use rulāne kī ḳhātir mujhe bhī ronā paḌā
vo ek husn thā jis kī thī sirf ḳhvāb meñ buud
use jagāne kī chāhat meñ mujh ko sonā paḌā
maiñ dekhtā huuñ ye chhīñTe lageñge kis ke haath
mujhe jo aaj udāsī se haath dhonā paḌā
ye kyā huā ki tirī dhun meñ jin se bichhḌe the
unhīñ ke sāmne tujh se bichhaḌ ke ronā paḌā
maiñ apnī marzī se is duniyā meñ huā kab thā
ma.ānī ye haiñ ki mujh ko jahāñ meñ honā paḌā
wo bar-e-farz-e-takalluf mujhi ko Dhona paDa
use rulane ki KHatir mujhe bhi rona paDa
wo ek husn tha jis ki thi sirf KHwab mein bud
use jagane ki chahat mein mujh ko sona paDa
main dekhta hun ye chhinTe lagenge kis ke hath
mujhe jo aaj udasi se hath dhona paDa
ye kya hua ki teri dhun mein jin se bichhDe the
unhin ke samne tujh se bichhaD ke rona paDa
main apni marzi se is duniya mein hua kab tha
maani ye hain ki mujh ko jahan mein hona paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.