wo barha hi unhin raston pe chalte hain
vo bārhā hī unhīñ rāstoñ pe chalte haiñ
'ajīb log haiñ gir kar nahīñ sañbhalte haiñ
maqām apnā badaltī nahīñ koī manzil
safar meñ log ka.ī rāste badalte haiñ
lagāte ham pe haiñ ilzām bevafā.ī jo
vo qatl kar ke bhī be-dāġh bach nikalte haiñ
chale haiñ jo bhī yahāñ 'azm-e-raushnī le kar
charāġh un kī umīdoñ ke roz jalte haiñ
vahī hai dil vahī duniyā vahī masā.il haiñ
so ham unhīñ se bichhaḌ kar unhīñ se milte haiñ
qadam uThe to usī samt ruḳh rahā un kā
mohabbatoñ ke jahāñ rāste nikalte haiñ
wo barha hi unhin raston pe chalte hain
'ajib log hain gir kar nahin sanbhalte hain
maqam apna badalti nahin koi manzil
safar mein log kai raste badalte hain
lagate hum pe hain ilzam bewafai jo
wo qatl kar ke bhi be-dagh bach nikalte hain
chale hain jo bhi yahan 'azm-e-raushni le kar
charagh un ki umidon ke roz jalte hain
wahi hai dil wahi duniya wahi masail hain
so hum unhin se bichhaD kar unhin se milte hain
qadam uThe to usi samt ruKH raha un ka
mohabbaton ke jahan raste nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.