wo baat nahin hai nahin wo baat nahin hai
vo baat nahīñ hai nahīñ vo baat nahīñ hai
tajdīd-e-mulāqāt mulāqāt nahīñ hai
jis bhaav bikā bech diyā manDī meñ ḳhud ko
ab is se ziyāda mirī auqāt nahīñ hai
ye baat agar sach hai yaqīñ kyoñ nahīñ aatā
suntā huuñ ki ab koī mire saath nahīñ hai
ab dil ko manāne meñ to ik umr lagegī
kahne ko to kahtā huuñ koī baat nahīñ hai
ham is ke sahāre ye sitam jhel rahe haiñ
ab ye na kaho is meñ tirā haat nahīñ hai
jis dil ne kabhī haar kī lazzat nahīñ dekhī
vo jāntā hai is se baḌī maat nahīñ hai
haañ zindagī meñ koī kamī to nahīñ lekin
is jiine meñ 'tāsīr' koī baat nahīñ hai
wo baat nahin hai nahin wo baat nahin hai
tajdid-e-mulaqat mulaqat nahin hai
jis bhaw bika bech diya manDi mein KHud ko
ab is se ziyaada meri auqat nahin hai
ye baat agar sach hai yaqin kyon nahin aata
sunta hun ki ab koi mere sath nahin hai
ab dil ko manane mein to ek umr lagegi
kahne ko to kahta hun koi baat nahin hai
hum is ke sahaare ye sitam jhel rahe hain
ab ye na kaho is mein tera hat nahin hai
jis dil ne kabhi haar ki lazzat nahin dekhi
wo jaanta hai is se baDi mat nahin hai
han zindagi mein koi kami to nahin lekin
is jine mein 'tasir' koi baat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.