wo barham hon to un ka har qadam mahsus hota hai
wo barham hon to un ka har qadam mahsus hota hai
Nazmi Sikandrabadi
MORE BYNazmi Sikandrabadi
vo barham hoñ to un kā har qadam mahsūs hotā hai
jafā mahsūs hotī hai karam mahsūs hotā hai
bahut vīrān hai lekin vo jab tashrīf laate haiñ
yahī ġhurbat-kada rashk-e-iram mahsūs hotā hai
hamārī justujū par bad-gumānī hai yahāñ sab ko
yahī kūcha hameñ kū-e-sanam mahsūs hotā hai
ye maanā rāh-rau manzil se kosoñ duur hai apnī
magar ye fāsla pahle se kam mahsūs hotā hai
tabī.at mā.il-e-sher-o-suḳhan hotī hai jab 'nazmī'
tire ash.ār paḌh kar terā ġham mahsūs hotā hai
wo barham hon to un ka har qadam mahsus hota hai
jafa mahsus hoti hai karam mahsus hota hai
bahut viran hai lekin wo jab tashrif late hain
yahi ghurbat-kada rashk-e-iram mahsus hota hai
hamari justuju par bad-gumani hai yahan sab ko
yahi kucha hamein ku-e-sanam mahsus hota hai
ye mana rah-rau manzil se koson dur hai apni
magar ye fasla pahle se kam mahsus hota hai
tabiat mail-e-sher-o-suKHan hoti hai jab 'nazmi'
tere ashaar paDh kar tera gham mahsus hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.