wo barq-e-jalwa dikhae jamal agar apna
vo barq-e-jalva dikhā.e jamāl agar apnā
to ai kalīm kareñ ham nisār sar apnā
vo zāt-e-pāk kahāñ ye nigār-e-ḳhāk kahāñ
jo dekhe us ko zarā dekhe muñh bashar apnā
kahīñ ḳhizāñ hī banā vo kahīñ bahār banā
ġharaz har ek chaman meñ kiyā guzar apnā
basā hai merī hī āñkhoñ meñ kuchh nahīñ vo shoḳh
diloñ meñ sab ke banāyā hai us ne ghar apnā
harīm-ka.aba meñ but-ḳhāna meñ kalīsā meñ
banā.e qibla tumheñ sāhib-e-nazar apnā
maqām-e-ibrat-o-hasrat sarā-e-fānī hai
banā liyā hai jise ġhāfiloñ ne ghar apnā
guhar na samjho in ashkoñ ko haiñ ye la.al-e-saped
dikhā rahī hai ye e.ajāz chashm-e-tar apnā
samajh ke aib kareñge husūd mujh par taan
yahī hai soch dikhā.ūñ kise hunar apnā
fanā kī raah meñ vo garm-rau huuñ ai 'ājiz'
ki saaya bhī nahīñ vallāh ham-safar apnā
wo barq-e-jalwa dikhae jamal agar apna
to ai kalim karen hum nisar sar apna
wo zat-e-pak kahan ye nigar-e-KHak kahan
jo dekhe us ko zara dekhe munh bashar apna
kahin KHizan hi bana wo kahin bahaar bana
gharaz har ek chaman mein kiya guzar apna
basa hai meri hi aankhon mein kuchh nahin wo shoKH
dilon mein sab ke banaya hai us ne ghar apna
harim-kaba mein but-KHana mein kalisa mein
banae qibla tumhein sahib-e-nazar apna
maqam-e-ibrat-o-hasrat sara-e-fani hai
bana liya hai jise ghafilon ne ghar apna
guhar na samjho in ashkon ko hain ye lal-e-saped
dikha rahi hai ye eajaz chashm-e-tar apna
samajh ke aib karenge husud mujh par tan
yahi hai soch dikhaun kise hunar apna
fana ki rah mein wo garm-rau hun ai 'ajiz'
ki saya bhi nahin wallah ham-safar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.