wo bas baaton se hi bahla gaya hai
vo bas bātoñ se hī bahlā gayā hai
samajh meñ mājrā to aa gayā hai
ise sach kahne kī 'ādat nahīñ hai
jo sach pūchhā hai to ghabrā gayā hai
'ināyat hī nahīñ aatī kisī ko
shikāyat karnā sab ko aa gayā hai
na.ī duniyā kā mausam kuchh alag hai
ye dil kuchh ḳhud se uktā sā gayā hai
bachā.e ab ḳhudā in rahbaroñ ko
ki qātil kā tarīqa bhā gayā hai
tamāsha dekhne vāloñ meñ tum the
to dil thoḌā sukūñ to pā gayā hai
wo bas baaton se hi bahla gaya hai
samajh mein majra to aa gaya hai
ise sach kahne ki 'adat nahin hai
jo sach puchha hai to ghabra gaya hai
'inayat hi nahin aati kisi ko
shikayat karna sab ko aa gaya hai
nai duniya ka mausam kuchh alag hai
ye dil kuchh KHud se ukta sa gaya hai
bachae ab KHuda in rahbaron ko
ki qatil ka tariqa bha gaya hai
tamasha dekhne walon mein tum the
to dil thoDa sukun to pa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.