wo bazm kahan aur ye daryuza-gari
vo bazm kahāñ aur ye daryūza-garī
le jā.egī mujh ko mirī āshufta-sarī
dīvāne ne tāvīl koī pesh na kī
hone ko to ilzām se ho jaatā barī
ik dev ne qisse meñ Darāyā thā mujhe
phir raat ko sapne meñ chalī aa.ī parī
patthar ko bhī dekhā to chamak phuuT paḌī
sīkhī hai kahāñ tū ne ye ā.īna-garī
ai ḳhalvatī-e-husn kabhī parda uThā
ai 'ishq-e-junūñ-ḳhez kabhī parda-darī
be-tāb hai duniyā mire naġhmoñ ke liye
suntā nahīñ fariyād yahāñ tū hī mirī
wo bazm kahan aur ye daryuza-gari
le jaegi mujh ko meri aashufta-sari
diwane ne tawil koi pesh na ki
hone ko to ilzam se ho jata bari
ek dew ne qisse mein Daraya tha mujhe
phir raat ko sapne mein chali aai pari
patthar ko bhi dekha to chamak phuT paDi
sikhi hai kahan tu ne ye aaina-gari
ai KHalwati-e-husn kabhi parda uTha
ai 'ishq-e-junun-KHez kabhi parda-dari
be-tab hai duniya mere naghmon ke liye
sunta nahin fariyaad yahan tu hi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.