Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo be-niyaz shab-o-roz-o-mah-o-sal gaya

Shahid Ahmad Shoaib

wo be-niyaz shab-o-roz-o-mah-o-sal gaya

Shahid Ahmad Shoaib

MORE BYShahid Ahmad Shoaib

    vo be-niyāz shab-o-roz-o-māh-o-sāl gayā

    ab us ke gum-shuda hone ehtimāl gayā

    vo ik ḳhayāl ki har-dam jahāñ ḳhayāl gayā

    kabhī azaab meñ rakkhā kabhī sambhāl gayā

    jo shahr-e-lafz-o-ma.ānī se duur duur rahā

    vo be-hunar tirī galiyoñ se bā-kamāl gayā

    hudūd-e-vaqt se aage uḌaan bharte rahe

    amīr-e-vaqt mansab gayā jalāl gayā

    hameñ to rut ke badalne kuchh ḳhabar bhī nahīñ

    ham apnī niiñd se jaage to har malāl gayā

    asīr-e-shab vo rahā umr-bhar magar is baar

    uThā to ḳhaak se sūraj ka.ī uchhāl gayā

    na jaane kis ko vo āvāz detā rahtā hai

    kabhī jo pūchhā to vo shaḳhs hañs ke Taal gayā

    udaas udaas hai ab bhī 'sho.eb' fasl-e-murād

    umiid umiid meñ lagtā hai phir ye saal gayā

    wo be-niyaz shab-o-roz-o-mah-o-sal gaya

    ab us ke gum-shuda hone ka ehtimal gaya

    wo ek KHayal ki har-dam jahan KHayal gaya

    kabhi azab mein rakkha kabhi sambhaal gaya

    jo shahr-e-lafz-o-maani se dur dur raha

    wo be-hunar teri galiyon se ba-kamal gaya

    hudud-e-waqt se aage uDan bharte rahe

    amir-e-waqt ka mansab gaya jalal gaya

    hamein to rut ke badalne ki kuchh KHabar bhi nahin

    hum apni nind se jage to har malal gaya

    asir-e-shab wo raha umr-bhar magar is bar

    uTha to KHak se suraj kai uchhaal gaya

    na jaane kis ko wo aawaz deta rahta hai

    kabhi jo puchha to wo shaKHs hans ke Tal gaya

    udas udas hai ab bhi 'shoeb' fasl-e-murad

    umid umid mein lagta hai phir ye sal gaya

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now