wo bewafa bhi ho to kya ye aisi bhi KHata nahin
vo bevafā bhī ho to kyā ye aisī bhī ḳhatā nahīñ
ye zindagī bhī chaar din meñ degī kyā daġhā nahīñ
zabān par savāl the pa lab mire sile rahe
vo muntazir khaḌā rahā pa maiñ ne kuchh kahā nahīñ
vo raah apnī chal paḌā na muḌ ke dekhā us ne phir
maiñ but banī khaḌī rahī aur vo kabhī rukā nahīñ
do lafz bhī kahe binā vo uTh ke kyoñ chalā gayā
talāshtī rahī use pa vo kahīñ milā nahīñ
be-kār hī maiñ sochtī thī dil kā saath hai sadā
jo dil kisī pe aa gayā to us kā aasrā nahīñ
havā bahut chalī magar charāġh kī bhī zid rahī
jo raakh ko sharar kiyā to dil kabhī bujhā nahīñ
maiñ sabr us kā luuT luuñ qarār us kā chhīn luuñ
ye merī sādgī hī hai ki maiñ ne yuuñ kiyā nahīñ
thī Dor ik juḌī huī yuuñ mere us ke darmiyāñ
ki rāste judā the phir bhī pyaar kam huā nahīñ
nigāh meñ ik aas thī laboñ pe mere aah thī
ki yaad to kiyā use magar kabhī kahā nahīñ
wo bewafa bhi ho to kya ye aisi bhi KHata nahin
ye zindagi bhi chaar din mein degi kya dagha nahin
zaban par sawal the pa lab mere sile rahe
wo muntazir khaDa raha pa main ne kuchh kaha nahin
wo rah apni chal paDa na muD ke dekha us ne phir
main but bani khaDi rahi aur wo kabhi ruka nahin
do lafz bhi kahe bina wo uTh ke kyon chala gaya
talashti rahi use pa wo kahin mila nahin
be-kar hi main sochti thi dil ka sath hai sada
jo dil kisi pe aa gaya to us ka aasra nahin
hawa bahut chali magar charagh ki bhi zid rahi
jo rakh ko sharar kiya to dil kabhi bujha nahin
main sabr us ka luT lun qarar us ka chhin lun
ye meri sadgi hi hai ki main ne yun kiya nahin
thi Dor ek juDi hui yun mere us ke darmiyan
ki raste juda the phir bhi pyar kam hua nahin
nigah mein ek aas thi labon pe mere aah thi
ki yaad to kiya use magar kabhi kaha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.