wo bewafa koi dam aur jo Thahar jata
vo bevafā koī dam aur jo Thahar jaatā
rah-e-talab meñ ye dil yuuñ na dar-ba-dar jaatā
tirī galī meñ fasāne bikherne ke liye
ye lāzmī thā ki ham sā hī be-ḳhatar jaatā
tujh ajnabī kā ho kyā ġham ki is añdhere meñ
maiñ apne-āp ko ḳhud dekhtā to Dar jaatā
tumhārī bandish-e-ādāb se nazar jaagī
maiñ be-ḳhabar to yūñhī raah se guzar jaatā
mujhī meñ ho na kisī aañch kī kamī varna
koī suḳhan to tirī ruuh tak utar jaatā
koī nigāh to hotī sukūñ-shanās kabhī
koī nafas to kisī moḌ par Thahar jaatā
vo bū-e-gul hai to ham mauja-e-sabā 'anjum'
vo ham se bach ke chalā thā magar kidhar jaatā
wo bewafa koi dam aur jo Thahar jata
rah-e-talab mein ye dil yun na dar-ba-dar jata
teri gali mein fasane bikherne ke liye
ye lazmi tha ki hum sa hi be-KHatar jata
tujh ajnabi ka ho kya gham ki is andhere mein
main apne-ap ko KHud dekhta to Dar jata
tumhaari bandish-e-adab se nazar jagi
main be-KHabar to yunhi rah se guzar jata
mujhi mein ho na kisi aanch ki kami warna
koi suKHan to teri ruh tak utar jata
koi nigah to hoti sukun-shanas kabhi
koi nafas to kisi moD par Thahar jata
wo bu-e-gul hai to hum mauja-e-saba 'anjum'
wo hum se bach ke chala tha magar kidhar jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.