wo bhi gumrah ho gaya hoga
vo bhī gumrāh ho gayā hogā
merā bad-ḳhvāh ho gayā hogā
mere haq meñ jo bol uTThā hai
dard-āgāh ho gayā hogā
sajda-e-shauq jo adā na huā
sañg-e-dargāh ho gayā hogā
hādse kī hameñ ḳhabar hī nahīñ
ḳhair nāgāh ho gayā hogā
vāqi.a aap tak nahīñ pahuñchā
nazr-e-afvāh ho gayā hogā
sūrat-e-hāl dekh kar vo bhī
tere hamrāh ho gayā hogā
vaqt ke saath saath us kā qad
aur kotāh ho gayā hogā
is baras bhī na aa sakā 'fartāsh'
vaqf-e-tanḳhvāh ho gayā hogā
wo bhi gumrah ho gaya hoga
mera bad-KHwah ho gaya hoga
mere haq mein jo bol uTTha hai
dard-agah ho gaya hoga
sajda-e-shauq jo ada na hua
sang-e-dargah ho gaya hoga
hadse ki hamein KHabar hi nahin
KHair nagah ho gaya hoga
waqia aap tak nahin pahuncha
nazr-e-afwah ho gaya hoga
surat-e-haal dekh kar wo bhi
tere hamrah ho gaya hoga
waqt ke sath sath us ka qad
aur kotah ho gaya hoga
is baras bhi na aa saka 'fartash'
waqf-e-tanKHwah ho gaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.