wo bhi ho gae shamil mere nukta-chinon mein
vo bhī ho ga.e shāmil mere nukta-chīnoñ meñ
maiñ ne jin ko paalā thā apnī āstīnoñ meñ
aa.ine parakhne kā tajraba hameñ bhī hai
ek umr guzrī hai apnī mah-jabīnoñ meñ
bārhā mohabbat ke biij bo ke dekhā hai
nafrateñ hī ugtī haiñ āj-kal zamīnoñ meñ
kyā bachāte jaañ apnī har taraf hī qātil the
aur jo muhāfiz the mil ga.e kamīnoñ meñ
sāmnā to hone do ḳhud hī jaan jāoge
tum ko ham ne dekhā hai sirf dūr-bīnoñ meñ
nazriya badal jaa.e yā nazar badal jaa.e
baal aa hī jaate haiñ dil ke ābgīnoñ meñ
ab kahāñ 'zafar' sāhib husn meñ salīqa hai
ishq bhī nahīñ miltā ab kahīñ qarīnoñ meñ
wo bhi ho gae shamil mere nukta-chinon mein
main ne jin ko pala tha apni aastinon mein
aaine parakhne ka tajraba hamein bhi hai
ek umr guzri hai apni mah-jabinon mein
barha mohabbat ke bij bo ke dekha hai
nafraten hi ugti hain aaj-kal zaminon mein
kya bachate jaan apni har taraf hi qatil the
aur jo muhafiz the mil gae kaminon mein
samna to hone do KHud hi jaan jaoge
tum ko hum ne dekha hai sirf dur-binon mein
nazriya badal jae ya nazar badal jae
baal aa hi jate hain dil ke aabginon mein
ab kahan 'zafar' sahib husn mein saliqa hai
ishq bhi nahin milta ab kahin qarinon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.