wo bhi kisi ke sath hai main bhi kisi ke sath
vo bhī kisī ke saath hai maiñ bhī kisī ke saath
ye haath ho rahā hai baḌā 'āshiqī ke saath
dariyā pe ek jal-parī dekhī thī ek roz
dil tab se jā chukā hai usī jal-parī ke saath
ab is kā kaam vaqt batānā nahīñ rahā
ye sāniha to honā thā ik din ghaḌī ke saath
dīvāne aise hote haiñ 'jānif' ko dekh lo
bistar rakhe hue hai kisī kī galī ke saath
terī salāh apnī jagah Thiik hai ai dost
kaise maiñ ḳhush rahūñgā bhalā be-dilī ke saath
wo bhi kisi ke sath hai main bhi kisi ke sath
ye hath ho raha hai baDa 'ashiqi ke sath
dariya pe ek jal-pari dekhi thi ek roz
dil tab se ja chuka hai usi jal-pari ke sath
ab is ka kaam waqt batana nahin raha
ye saniha to hona tha ek din ghaDi ke sath
diwane aise hote hain 'jaanif' ko dekh lo
bistar rakhe hue hai kisi ki gali ke sath
teri salah apni jagah Thik hai ai dost
kaise main KHush rahunga bhala be-dili ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.