wo bhi kya aalam tha jab apna koi aalam na tha
wo bhi kya aalam tha jab apna koi aalam na tha
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi
vo bhī kyā aalam thā jab apnā koī aalam na thā
aish se vāqif na thā dil āshnā-e-ġham na thā
jis ne dekhā hī nahīñ vo tujh ko kyūñkar jāntā
dekhne par bhī to koī husn kā mahram na thā
qahr thā shikva sitam kā varna is se peshtar
in nigāhoñ kī pashemānī kā ye aalam na thā
thā mazāq-e-dard 'farruḳh' sa.ī-e-darmāñ se buland
zaḳhm-e-dil merā kabhī sharminda-e-marham na thā
jab qafas meñ aa.e the ham vo bhī kyā hangām thā
baaġh se tā-ḳhāna-e-sayyād ik kohrām thā
kis qayāmat kā diyā un kī nigāhoñ ne fareb
jis ko ham āġhāz samjhe the vahī anjām thā
dekhne aa.e the ham nāz-o-niyāz-e-husn-o-ishq
varna marnā aur jiinā ye bhī koī kaam thā
ye nayā dastūr dekhā husn kī sarkār meñ
jo sazā-vār-e-karam thā morid-e-ilzām thā
ek daur-e-be-ḳhudī meñ sab haqīqat khul ga.ī
ham vahāñ pahoñche jahāñ allāh kā bas naam thā
vā.e-ġhaflat ham rahe anjām se nā-āshnā
zindagī ke har-nafas meñ maut kā paiġhām thā
husn ke pās-e-adab se ham rahe pāband-e-zabt
varna ik dil kā hilā denā bhī koī kaam thā
ho gayā dam bhar meñ 'farruḳh' kuchh se kuchh rang-e-chaman
ḳhanda-e-gul meñ ḳhudā ma.alūm kyā paiġhām thā
wo bhi kya aalam tha jab apna koi aalam na tha
aish se waqif na tha dil aashna-e-gham na tha
jis ne dekha hi nahin wo tujh ko kyunkar jaanta
dekhne par bhi to koi husn ka mahram na tha
qahr tha shikwa sitam ka warna is se peshtar
in nigahon ki pashemani ka ye aalam na tha
tha mazaq-e-dard 'farruKH' sai-e-darman se buland
zaKHm-e-dil mera kabhi sharminda-e-marham na tha
jab qafas mein aae the hum wo bhi kya hangam tha
bagh se ta-KHana-e-sayyaad ek kohram tha
kis qayamat ka diya un ki nigahon ne fareb
jis ko hum aaghaz samjhe the wahi anjam tha
dekhne aae the hum naz-o-niyaz-e-husn-o-ishq
warna marna aur jina ye bhi koi kaam tha
ye naya dastur dekha husn ki sarkar mein
jo saza-war-e-karam tha morid-e-ilzam tha
ek daur-e-be-KHudi mein sab haqiqat khul gai
hum wahan pahonche jahan allah ka bas nam tha
wae-ghaflat hum rahe anjam se na-ashna
zindagi ke har-nafas mein maut ka paigham tha
husn ke pas-e-adab se hum rahe paband-e-zabt
warna ek dil ka hila dena bhi koi kaam tha
ho gaya dam bhar mein 'farruKH' kuchh se kuchh rang-e-chaman
KHanda-e-gul mein KHuda malum kya paigham tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.