wo bhi pichhe paDe hain ab to shikari ki tarah
vo bhī pīchhe paḌe haiñ ab to shikārī kī tarah
zindagī meñ rahe jo bād-e-bahārī kī tarah
dil meñ aate haiñ miyāñ log bhī kaise kaise
bas zarā duur hī chalte haiñ savārī kī tarah
aisā lagtā hai kabhī zindagī bhī ho jaise
paan meñ rakkhī ga.ī Thos supārī kī tarah
yā ḳhudā shaḳhs mujhe ab koī aisā de de
mere andar jo kare raqs ḳhumārī kī tarah
mere a.azā ke 'nitin' TukḌe hue jaate haiñ
saañs chaltī hai badan meñ mire aarī kī tarah
wo bhi pichhe paDe hain ab to shikari ki tarah
zindagi mein rahe jo baad-e-bahaari ki tarah
dil mein aate hain miyan log bhi kaise kaise
bas zara dur hi chalte hain sawari ki tarah
aisa lagta hai kabhi zindagi bhi ho jaise
pan mein rakkhi gai Thos supari ki tarah
ya KHuda shaKHs mujhe ab koi aisa de de
mere andar jo kare raqs KHumari ki tarah
mere aaza ke 'nitin' TukDe hue jate hain
sans chalti hai badan mein mere aari ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.