wo bhi rahe ghurur mein hum bhi the aan mein
vo bhī rahe ġhurūr meñ ham bhī the aan meñ
TuuTī tanāb-e-ishq isī khīñch-tān meñ
lab par rahī hai us se bichhaḌ kar bhī ik hañsī
kuchh phuul kāġhazī bhī rahe phūl-dān meñ
baḌhne lagā hai raat kī tanhā.iyoñ kā shor
chubhne lagī sukūt kī āvāz kaan meñ
tū bhī vahī hai maiñ bhī vahī huuñ vahī haiñ sab
kuchh bhī nayā nahīñ hai mirī dāstān meñ
bharne lagā hai aarzī duniyā se merā dil
maiñ uubne lagā huuñ ab is martabān meñ
kaise hoñ ik niyām meñ talvār do so ham
apnā vajūd bhuul ga.e us ke dhyān meñ
wo bhi rahe ghurur mein hum bhi the aan mein
TuTi tanab-e-ishq isi khinch-tan mein
lab par rahi hai us se bichhaD kar bhi ek hansi
kuchh phul kaghazi bhi rahe phul-dan mein
baDhne laga hai raat ki tanhaiyon ka shor
chubhne lagi sukut ki aawaz kan mein
tu bhi wahi hai main bhi wahi hun wahi hain sab
kuchh bhi naya nahin hai meri dastan mein
bharne laga hai aarzi duniya se mera dil
main ubne laga hun ab is martaban mein
kaise hon ek niyam mein talwar do so hum
apna wajud bhul gae us ke dhyan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.