wo bhi rone ko tha ab us se gila kya karta
vo bhī rone ko thā ab us se gila kyā kartā
ho bhī jaatā maiñ agar us se ḳhafā kyā kartā
chhoḌ jaatā vo mujhe mujh se mirī jaañ le kar
vo mirā is se ziyāda bhī burā kyā kartā
mujh ko milnā to nahīñ thā maiñ milā bhī lekin
us kī āñkhoñ meñ the aañsū maiñ bhalā kyā kartā
chīḳhtā hī rahā par merī kisī ne na sunī
dam nahīñ thā mirī ġhazloñ meñ gila kyā kartā
roz dekhā nahīñ jaatā thā taḌapnā us kā
mujh ko karnī paḌī marne kī du'ā kyā kartā
us ne har chiiz kā jab mujh se badal māñgā to
maiñ ne lauTā dī phir us kī vo du'ā kyā kartā
wo bhi rone ko tha ab us se gila kya karta
ho bhi jata main agar us se KHafa kya karta
chhoD jata wo mujhe mujh se meri jaan le kar
wo mera is se ziyaada bhi bura kya karta
mujh ko milna to nahin tha main mila bhi lekin
us ki aankhon mein the aansu main bhala kya karta
chiKHta hi raha par meri kisi ne na suni
dam nahin tha meri ghazlon mein gila kya karta
roz dekha nahin jata tha taDapna us ka
mujh ko karni paDi marne ki du'a kya karta
us ne har chiz ka jab mujh se badal manga to
main ne lauTa di phir us ki wo du'a kya karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.