wo bij koi bata de kahan se lana hai
vo biij koī batā de kahāñ se laanā hai
mujhe to baaġh mohabbat kā ik ugānā hai
vo jis ke phuul bikhereñ fazā meñ pyaar hī pyaar
har ek phuul ko ghar ghar meñ le ke jaanā hai
zamīn vāloñ pe kaisā ye vaqt aayā hai
ki āsmān bhī hairāñ hai kyā zamāna hai
ham apnī baat ḳhud apne hī dil se kah leñge
ye baat baat pe ehsān kyā uThānā hai
phir un kā jurm hamāre hisāb meñ aayā
ilāhī aur hameñ kitnā āzmānā hai
unheñ bhī da.avā-e-bechārgī bahut hai magar
hameñ bhī aaj unheñ aa.ina dikhānā hai
mirā adū mire qadmoñ meñ Dher ho jaatā
ye mo.ajiza mire mālik tujhe dikhānā hai
wo bij koi bata de kahan se lana hai
mujhe to bagh mohabbat ka ek ugana hai
wo jis ke phul bikheren faza mein pyar hi pyar
har ek phul ko ghar ghar mein le ke jaana hai
zamin walon pe kaisa ye waqt aaya hai
ki aasman bhi hairan hai kya zamana hai
hum apni baat KHud apne hi dil se kah lenge
ye baat baat pe ehsan kya uThana hai
phir un ka jurm hamare hisab mein aaya
ilahi aur hamein kitna aazmana hai
unhen bhi dawa-e-bechaargi bahut hai magar
hamein bhi aaj unhen aaina dikhana hai
mera adu mere qadmon mein Dher ho jata
ye moajiza mere malik tujhe dikhana hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 461)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.