wo bola KHush hai bahut mujhse dur jate hue
vo bolā ḳhush hai bahut mujh se duur jaate hue
jhijhak rahā thā magar kyoñ nazar milāte hue
diye kī lau kī tapish maiñ ne dil pe kī mahsūs
guzishta raat tire saare ḳhat jalāte hue
maiñ muskurāne lagā maut kī sazā sun kar
sisak ke rone lagā vo sazā sunāte hue
vo aane vaalā na aayā agar to kyā hogā
ye sochtā huuñ maiñ dīvār-o-dar sajāte hue
jhaTak ke toḌ diiñ pairoñ kī saarī zanjīreñ
palaT ke dekhā nahīñ ghar ko ghar se jaate hue
vo pal judā.ī kā kuchh itnā jān-levā thā
maiñ ḳhud bhī rone lagā us ko chup karāte hue
qafas meñ rahte the ham saath itnā mil-jul kar
bahut udaas huā maiñ rihā.ī paate hue
'kamāl' itnā use ḳhauf hai ta'āqub kā
qadam baḌhātā hai naqsh-e-qadam miTāte hue
wo bola KHush hai bahut mujh se dur jate hue
jhijhak raha tha magar kyon nazar milate hue
diye ki lau ki tapish main ne dil pe ki mahsus
guzishta raat tere sare KHat jalate hue
main muskurane laga maut ki saza sun kar
sisak ke rone laga wo saza sunate hue
wo aane wala na aaya agar to kya hoga
ye sochta hun main diwar-o-dar sajate hue
jhaTak ke toD din pairon ki sari zanjiren
palaT ke dekha nahin ghar ko ghar se jate hue
wo pal judai ka kuchh itna jaan-lewa tha
main KHud bhi rone laga us ko chup karaate hue
qafas mein rahte the hum sath itna mil-jul kar
bahut udas hua main rihai pate hue
'kamal' itna use KHauf hai ta'aqub ka
qadam baDhata hai naqsh-e-qadam miTate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.