wo bu-e-gul hai tu panw zamin par hi nahin
vo bū-e-gul hai tū paañv zamīn par hī nahīñ
maiñ sar jhukā.ūñ kahāñ koī sang-e-dar hī nahīñ
nazar bachā ke tire ġham se maiñ guzar jā.ūñ
mirī nigāh meñ aisī to rahguzar hī nahīñ
qafas-nasīboñ pe guzrī hai kyā ḳhudā jaane
sunā hai jism pe ab un ke bāl-o-par hī nahīñ
uThe bhī kyoñ nigah-e-bāġhbāñ mirī jānib
maiñ vo daraḳht huuñ jis meñ koī samar hī nahīñ
zarā ye shān-e-taġhāful to dekhiye un kī
maiñ un ke paas khaḌā huuñ unheñ ḳhabar hī nahīñ
junūñ kā qāfila manzil pe kis tarah pahuñche
tumhārī yaad kī ḳhushbū to ham-safar hī nahīñ
mirī hayāt musalsal jihād hai 'shādāñ'
havādisāt-e-zamāna kā mujh ko Dar hī nahīñ
wo bu-e-gul hai tu panw zamin par hi nahin
main sar jhukaun kahan koi sang-e-dar hi nahin
nazar bacha ke tere gham se main guzar jaun
meri nigah mein aisi to rahguzar hi nahin
qafas-nasibon pe guzri hai kya KHuda jaane
suna hai jism pe ab un ke baal-o-par hi nahin
uThe bhi kyon nigah-e-baghban meri jaanib
main wo daraKHt hun jis mein koi samar hi nahin
zara ye shan-e-taghaful to dekhiye un ki
main un ke pas khaDa hun unhen KHabar hi nahin
junun ka qafila manzil pe kis tarah pahunche
tumhaari yaad ki KHushbu to ham-safar hi nahin
meri hayat musalsal jihad hai 'shadan'
hawadisat-e-zamana ka mujh ko Dar hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.