wo chand jo chilman mein chhupa hai bhi nahin bhi
wo chand jo chilman mein chhupa hai bhi nahin bhi
Arzoo Ashraf Sultanpuri
MORE BYArzoo Ashraf Sultanpuri
vo chāñd jo chilman meñ chhupā hai bhī nahīñ bhī
kuchh us ne sitāroñ se kahā hai bhī nahīñ bhī
rah rah ke chamakte haiñ terī yaad ke jugnū
jaise ki añdheroñ meñ diyā hai bhī nahīñ bhī
maqtūl ne ḳhud rakkhī thī shamshīr pe gardan
bas is liye qātil kī ḳhatā hai bhī nahīñ bhī
detā hai jo mansūr anal-haq kī sadā.eñ
vo zaat kabhī zāt-e-ḳhudā hai bhī nahīñ bhī
muñh par to muāfiq hai pas-e-pusht muḳhālif
dushman jo mirā hai vo sagā hai bhī nahīñ bhī
ye nīm-nazar nīm-nigāhī kā asar hai
jo tīr-e-nazar dil meñ chubhā hai bhī nahīñ bhī
wo chand jo chilman mein chhupa hai bhi nahin bhi
kuchh us ne sitaron se kaha hai bhi nahin bhi
rah rah ke chamakte hain teri yaad ke jugnu
jaise ki andheron mein diya hai bhi nahin bhi
maqtul ne KHud rakkhi thi shamshir pe gardan
bas is liye qatil ki KHata hai bhi nahin bhi
deta hai jo mansur anal-haq ki sadaen
wo zat kabhi zat-e-KHuda hai bhi nahin bhi
munh par to muafiq hai pas-e-pusht muKHalif
dushman jo mera hai wo saga hai bhi nahin bhi
ye nim-nazar nim-nigahi ka asar hai
jo tir-e-nazar dil mein chubha hai bhi nahin bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.