wo chand-raat ka wada bhula diya tumne
vo chāñd-rāt kā vā'da bhulā diyā tum ne
hamāre saath ye achchhā nahīñ kiyā tum ne
purāne kāġhazoñ par kyā nahīñ likhā tum ne
mire ḳhayāl ko lekin nahīñ paḌhā tum ne
asīr-e-ḳhvāb sitāroñ ko kyā kahā tum ne
falak pe aaj mirā naam le liyā tum ne
nayā libās pahan kar kahāñ pe jā.ūñ maiñ
mire mizāj ko saada banā diyā tum ne
agarche bhuul chuke ho diloñ kā afsāna
kabhī na milne kā vā'da vafā kiyā tum ne
'ajīb dāstāñ hai jāvedānī ulfat kī
ki muskurāte hue kar diyā fanā tum ne
nazar milā.ī to mahsūs ye huā mujh ko
ki merī jaan ko hāthoñ meñ le liyā tum ne
agarche duur ho merī nigāh se ab bhī
har ek dard mire saath hī sahā tum ne
nazar mile to sabhī dard bol uThte haiñ
ye aur baat ki kuchh bhī nahīñ sunā tum ne
tumhāre aane kā imkān baḌh gayā shāyad
jalā diyā hai darīchoñ meñ phir diyā tum ne
paḌī nigāh tumhārī jo mere āñgan meñ
har ek chaak mire dard kā siyā tum ne
na apne vāste kaafī kabhī huī 'nīlam'
use ġharīb kī chādar banā diyā tum ne
wo chand-raat ka wa'da bhula diya tum ne
hamare sath ye achchha nahin kiya tum ne
purane kaghazon par kya nahin likha tum ne
mere KHayal ko lekin nahin paDha tum ne
asir-e-KHwab sitaron ko kya kaha tum ne
falak pe aaj mera nam le liya tum ne
naya libas pahan kar kahan pe jaun main
mere mizaj ko sada bana diya tum ne
agarche bhul chuke ho dilon ka afsana
kabhi na milne ka wa'da wafa kiya tum ne
'ajib dastan hai jawedani ulfat ki
ki muskuraate hue kar diya fana tum ne
nazar milai to mahsus ye hua mujh ko
ki meri jaan ko hathon mein le liya tum ne
agarche dur ho meri nigah se ab bhi
har ek dard mere sath hi saha tum ne
nazar mile to sabhi dard bol uThte hain
ye aur baat ki kuchh bhi nahin suna tum ne
tumhaare aane ka imkan baDh gaya shayad
jala diya hai darichon mein phir diya tum ne
paDi nigah tumhaari jo mere aangan mein
har ek chaak mere dard ka siya tum ne
na apne waste kafi kabhi hui 'nilam'
use gharib ki chadar bana diya tum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.