wo chingariyon ko hawa de gaya
vo chingāriyoñ ko havā de gayā
samundar thā lekin ye kyā de gayā
maiñ jalte charāġhoñ kī sāñsoñ meñ huuñ
koī jāgne kī duā de gayā
shikārī baḌā sho.abada-bāz thā
parindoñ ko ik aa.ina de gayā
maiñ maqtā pe pahuñchā to vo ro paḌā
mujhe shā.erī kā sila de gayā
baḌī dhuup thī ghar ke bāhar 'matīn'
magar vo shajar aasrā de gayā
wo chingariyon ko hawa de gaya
samundar tha lekin ye kya de gaya
main jalte charaghon ki sanson mein hun
koi jagne ki dua de gaya
shikari baDa shoabada-baz tha
parindon ko ek aaina de gaya
main maqta pe pahuncha to wo ro paDa
mujhe shaeri ka sila de gaya
baDi dhup thi ghar ke bahar 'matin'
magar wo shajar aasra de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.