wo dasht-e-dil pe agar ek bhi nazar kar de
wo dasht-e-dil pe agar ek bhi nazar kar de
Hasnain Asghar Tabassum
MORE BYHasnain Asghar Tabassum
vo dasht-e-dil pe agar ek bhī nazar kar de
talab ke peḌ ḳhizāoñ meñ bā-samar kar de
ḳhudā-e-sidq agar maiñ sadāqateñ na likhūñ
to merī soch ko harfoñ se be-ḳhabar kar de
maiñ nafratoñ ke kaḌe mausamoñ kī zad par huuñ
jo ho sake mire ehsās ko niDar kar de
gunāhgār huuñ lekin anā-farosh nahīñ
mire qalam kī gavāhī ko mo'atabar kar de
wo dasht-e-dil pe agar ek bhi nazar kar de
talab ke peD KHizaon mein ba-samar kar de
KHuda-e-sidq agar main sadaqaten na likhun
to meri soch ko harfon se be-KHabar kar de
main nafraton ke kaDe mausamon ki zad par hun
jo ho sake mere ehsas ko niDar kar de
gunahgar hun lekin ana-farosh nahin
mere qalam ki gawahi ko mo'atabar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.