wo dhup wo galiyan wahi uljhan nazar aae
vo dhuup vo galiyāñ vahī uljhan nazar aa.e
is shahr se us shahr kā āñgan nazar aa.e
is ġham ke ujāle meñ jo ik shaḳhs khaḌā hai
vo duur se mujh ko mirā sājan nazar aa.e
ik hijr ke sho.ale meñ ka.ī baar jale ham
is aas meñ shāyad ki nayā-pan nazar aa.e
ye raat ga.e kaun hai is peḌ ke nīche
ik diip sā har shāḳh pe raushan nazar aa.e
vo baat kaho jis ko tarastī rahe duniyā
vo harf likho jis meñ koī fan nazar aa.e
wo dhup wo galiyan wahi uljhan nazar aae
is shahr se us shahr ka aangan nazar aae
is gham ke ujale mein jo ek shaKHs khaDa hai
wo dur se mujh ko mera sajan nazar aae
ek hijr ke shoale mein kai bar jale hum
is aas mein shayad ki naya-pan nazar aae
ye raat gae kaun hai is peD ke niche
ek dip sa har shaKH pe raushan nazar aae
wo baat kaho jis ko tarasti rahe duniya
wo harf likho jis mein koi fan nazar aae
- Book : meyaar (Pg. 367)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.