wo dil jo kushta-e-gham-e-sud-o-ziyan na tha
vo dil jo kushta-e-ġham-e-sūd-o-ziyāñ na thā
shā.ista-e-navāzish-e-daur-e-jahāñ na thā
kab mujh ko lutf-e-ahl-e-mohabbat na thā nasīb
kab merā dil matā.a-e-ġham-e-dostāñ na thā
juz terī yaad ke na thī dil-soz koī yaad
juz tere ġham ke dil pe koī ġham girāñ na thā
dil aur ġham ke rabt ne majbūr kar diyā
yuuñ varna har qadam pe kabhī imtihāñ na thā
vo mil gayā hai ab mujhe apnī ḳhabar ho kyoñ
thī us kī justujū to ye banda kahāñ na thā
tum to har ek husn ko pahchānte ho ḳhuub
gul kī chaTak meñ kyā mirā husn-e-bayāñ na thā
wo dil jo kushta-e-gham-e-sud-o-ziyan na tha
shaista-e-nawazish-e-daur-e-jahan na tha
kab mujh ko lutf-e-ahl-e-mohabbat na tha nasib
kab mera dil mataa-e-gham-e-dostan na tha
juz teri yaad ke na thi dil-soz koi yaad
juz tere gham ke dil pe koi gham giran na tha
dil aur gham ke rabt ne majbur kar diya
yun warna har qadam pe kabhi imtihan na tha
wo mil gaya hai ab mujhe apni KHabar ho kyon
thi us ki justuju to ye banda kahan na tha
tum to har ek husn ko pahchante ho KHub
gul ki chaTak mein kya mera husn-e-bayan na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.