wo dil kab dil hai kahlane ke qabil
vo dil kab dil hai kahlāne ke qābil
jo ka.abe ke na but-ḳhāne ke qābil
ho jis kā dars apnāne ke qābil
vo afsāna hai dohrāne ke qābil
tumhārī zulf aur shāne ke qābil
ye hai zanjīr dīvāne ke qābil
hamīñ the ik faqat shāyad hamīñ the
tirī mahfil meñ kaam aane ke qābil
bane hai muddatoñ meñ dil bane hai
shahīd-e-nāz kahlāne ke qābil
mirī qismat kahāñ hai maiñ kahāñ huuñ
dayār-e-dost meñ jaane ke qābil
ye ahl-e-gulsitāñ gar chāheñ 'zamzam'
chaman hai to bahār aane ke qābil
wo dil kab dil hai kahlane ke qabil
jo kabe ke na but-KHane ke qabil
ho jis ka dars apnane ke qabil
wo afsana hai dohrane ke qabil
tumhaari zulf aur shane ke qabil
ye hai zanjir diwane ke qabil
hamin the ek faqat shayad hamin the
teri mahfil mein kaam aane ke qabil
bane hai muddaton mein dil bane hai
shahid-e-naz kahlane ke qabil
meri qismat kahan hai main kahan hun
dayar-e-dost mein jaane ke qabil
ye ahl-e-gulsitan gar chahen 'zamzam'
chaman hai to bahaar aane ke qabil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.