wo dil ki jhil mein utra tha ek saat ko
vo dil kī jhiil meñ utrā thā ek saa.at ko
ye umr ho ga.ī hai sahte is malāmat ko
kahīñ to sāya-e-dīvār-e-āgahī mil jaa.e
koī to aa.e kare ḳhatm is masāfat ko
tumhīñ se mil ke mirī dil se āshnā.ī ho
tumhāre baad hī jaanā hai is qayāmat ko
vo ek shaḳhs mujhe kar gayā sabhī se judā
taras rahā huuñ maiñ jis shaḳhs kī rifāqat ko
ajiib log haiñ is shahr ke ba-nām-e-vafā
havā.eñ dete haiñ har sho.ala-e-adāvat ko
javāz bhī to koī ho mirī tabāhī kā
chhupā rahe ho tabassum meñ kyoñ nadāmat ko
ga.e dinoñ kā manāte ho sog phir 'ābid'
hameñ yaqīñ hai na badloge apnī aadat ko
wo dil ki jhil mein utra tha ek saat ko
ye umr ho gai hai sahte is malamat ko
kahin to saya-e-diwar-e-agahi mil jae
koi to aae kare KHatm is masafat ko
tumhin se mil ke meri dil se aashnai ho
tumhaare baad hi jaana hai is qayamat ko
wo ek shaKHs mujhe kar gaya sabhi se juda
taras raha hun main jis shaKHs ki rifaqat ko
ajib log hain is shahr ke ba-nam-e-wafa
hawaen dete hain har shoala-e-adawat ko
jawaz bhi to koi ho meri tabahi ka
chhupa rahe ho tabassum mein kyon nadamat ko
gae dinon ka manate ho sog phir 'abid'
hamein yaqin hai na badloge apni aadat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.