Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo dil mein aaj basa bas ke dil-nawaz hua

Shahid Najibabadi

wo dil mein aaj basa bas ke dil-nawaz hua

Shahid Najibabadi

MORE BYShahid Najibabadi

    vo dil meñ aaj basā bas ke dil-navāz huā

    dil-o-dimāġh meñ phir ḳhuub sāz-bāz huā

    vo lais tīr-e-nazar se kamān-e-abrū se

    nihattā ishq thā paspā ba-har-mahāz huā

    vo kas ke phabtiyāñ kahlā rahe haiñ ḳhush-guftār

    maiñ lab-kushā bhī huā to zabāñ-darāz huā

    tamām umr kiye jis ko rāt-din sajde

    vo merī lahd pe bhī munkir-e-namāz huā

    shajar buland rahā āñdhiy.oñ meñ ḳham ho kar

    jo sab se jhuk ke milā hai vo sarfarāz huā

    madad jab bhī zarūrat mujhe huī 'shāhid'

    ajiib baat hai har shaḳhs hīlā-sāz huā

    wo dil mein aaj basa bas ke dil-nawaz hua

    dil-o-dimagh mein phir KHub saz-baz hua

    wo lais tir-e-nazar se kaman-e-abru se

    nihatta ishq tha paspa ba-har-mahaz hua

    wo kas ke phabtiyan kahla rahe hain KHush-guftar

    main lab-kusha bhi hua to zaban-daraaz hua

    tamam umr kiye jis ko raat-din sajde

    wo meri lahd pe bhi munkir-e-namaz hua

    shajar buland raha aandhiyon mein KHam ho kar

    jo sab se jhuk ke mila hai wo sarfaraaz hua

    madad ki jab bhi zarurat mujhe hui 'shahid'

    ajib baat hai har shaKHs hila-saz hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now