wo dil mein rahte hain dil ka nishan nahin malum
vo dil meñ rahte haiñ dil kā nishāñ nahīñ ma.alūm
makīn DhūñD rahā huuñ makāñ nahīñ ma.alūm
sukūn paane lagā huuñ ġham-e-mohabbat meñ
kahāñ ga.iiñ mirī be-tābiyāñ nahīñ ma.alūm
masarratoñ kā to sat.hī mutāla hai magar
ġham-e-hayāt kī gahrā.iyāñ nahīñ ma.alūm
fuġhāñ nasīb kī vāraftagī are tauba
fuġhāñ nasīb ko vaj.h-e-fuġhāñ nahīñ ma.alūm
chaman kī fikr bhī kar āshiyāñ kī fikr ke saath
kidhar ko TuuT paḌeñ bijliyāñ nahīñ ma.alūm
vafā-shi.ār tahī-dast aa.e manzil par
kahāñ kahāñ pe luTā kārvāñ nahīñ ma.alūm
'shakīl' aa.ina hai daur-e-inqilāb magar
ma.āl-e-qismat-e-hindostāñ nahīñ ma.alūm
wo dil mein rahte hain dil ka nishan nahin malum
makin DhunD raha hun makan nahin malum
sukun pane laga hun gham-e-mohabbat mein
kahan gain meri be-tabiyan nahin malum
masarraton ka to sathi mutala hai magar
gham-e-hayat ki gahraiyan nahin malum
fughan nasib ki waraftagi are tauba
fughan nasib ko wajh-e-fughan nahin malum
chaman ki fikr bhi kar aashiyan ki fikr ke sath
kidhar ko TuT paDen bijliyan nahin malum
wafa-shiar tahi-dast aae manzil par
kahan kahan pe luTa karwan nahin malum
'shakil' aaina hai daur-e-inqilab magar
maal-e-qismat-e-hindostan nahin malum
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 207)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.