wo dil nahin hai jis mein teri aarzu na ho
wo dil nahin hai jis mein teri aarzu na ho
Zakir Husain Husaini Zakir
MORE BYZakir Husain Husaini Zakir
vo dil nahīñ hai jis meñ tirī aarzū na ho
vo gul nahīñ nasīb jise rang-o-bū na ho
dil jītne ko yaar kā jaatā hai bazm meñ
koshish meñ kāmyāb ḳhudāyā adū na ho
aatā nahīñ hai sher mire zehn meñ koī
jab tak ki vo hasīn mire rū-ba-rū na ho
duniyā pe dil kī baat na khul jaa.e is liye
nazroñ se ho zabāñ se agar guftugū na ho
baaqī shab-e-firāq hai dil ho gayā tahī
phir aañkh kaise ro.e jo dil meñ lahū na ho
ai rab hamāre dil meñ bhī aa kar qiyām kar
auqāt us kī kyā hai ki jis dil meñ tū na ho
'zākir' amal se bante haiñ insān zī-vaqār
zinda nahīñ vo log jinheñ justujū na ho
wo dil nahin hai jis mein teri aarzu na ho
wo gul nahin nasib jise rang-o-bu na ho
dil jitne ko yar ka jata hai bazm mein
koshish mein kaamyab KHudaya adu na ho
aata nahin hai sher mere zehn mein koi
jab tak ki wo hasin mere ru-ba-ru na ho
duniya pe dil ki baat na khul jae is liye
nazron se ho zaban se agar guftugu na ho
baqi shab-e-firaq hai dil ho gaya tahi
phir aankh kaise roe jo dil mein lahu na ho
ai rab hamare dil mein bhi aa kar qiyam kar
auqat us ki kya hai ki jis dil mein tu na ho
'zakir' amal se bante hain insan zi-waqar
zinda nahin wo log jinhen justuju na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.