wo dilbari ka uski jo kuchh haal hai so hai
vo dilbarī kā us kī jo kuchh haal hai so hai
aur apnī dil-dahī kā jo ahvāl hai so hai
mat pūchh us kī zulf kī uljheḌe kā bayān
ye merī jaan ke liye janjāl hai so hai
nekī badī kā koī kisī ke nahīñ sharīk
jo apnā apnā nāma-e-a.amāl hai so hai
pis jaa.e koī ho yā ki pāmāl us ko kyā
is gardish-e-falak kī jo kuchh chaal hai so hai
ve hī alam meñ aahoñ ke vaisī hī fauj-e-ashk
ab tak ġham-o-alam kā jo iqbāl hai so hai
aisā to vo nahīñ jo mirā chārasāz ho
phir fā.eda kahe se jo kuchh haal hai so hai
shikva mujhe to sozan-e-mizhgāñ se kuchh nahīñ
dil ḳhaar ḳhaar aah se ġhirbāl hai so hai
naqsh-e-qadam kī tarah 'hasan' us kī raah meñ
apnā ye dil sadā se jo pāmāl hai so hai
wo dilbari ka us ki jo kuchh haal hai so hai
aur apni dil-dahi ka jo ahwal hai so hai
mat puchh us ki zulf ki uljheDe ka bayan
ye meri jaan ke liye janjal hai so hai
neki badi ka koi kisi ke nahin sharik
jo apna apna nama-e-amal hai so hai
pis jae koi ho ya ki pamal us ko kya
is gardish-e-falak ki jo kuchh chaal hai so hai
we hi alam mein aahon ke waisi hi fauj-e-ashk
ab tak gham-o-alam ka jo iqbaal hai so hai
aisa to wo nahin jo mera chaarasaz ho
phir faeda kahe se jo kuchh haal hai so hai
shikwa mujhe to sozan-e-mizhgan se kuchh nahin
dil KHar KHar aah se ghirbaal hai so hai
naqsh-e-qadam ki tarah 'hasan' us ki rah mein
apna ye dil sada se jo pamal hai so hai
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.