wo dilkashi jo tere husn aur jamal mein hai
vo dilkashī jo tire husn aur jamāl meñ hai
usī kā aks farozāñ mire ḳhayāl meñ hai
ḳhumār-e-tishna-labī mausam-e-junūñ-ḳhezī
kabhī ye hijr meñ hai aur kabhī visāl meñ hai
kabhī sahar meñ kabhī shaam meñ hai jalva-numā
vo raushnī jo tire husn-e-be-misāl meñ hai
vo naġhmagī jo daraḳhshāñ hai tere jalvoñ meñ
na roz-o-shab meñ farozāñ na māh-o-sāl meñ hai
savād-e-shām meñ taarī hai sehr aur fusūñ
usī kā rang tire husn-e-lā-zavāl meñ hai
hanūz jalva-numā zindagī meñ ho na sakī
vo tamkanat jo tire qahr aur jalāl meñ hai
shikast-o-reḳht se miltī hai zindagī ko numūd
mire vajūd kā unsur tire kamāl meñ hai
kisī jihat meñ ravāñ hai ye kārvān-e-hayāt
bas ek raḳht-e-safar hai jo māh-o-sāl meñ hai
sahar qarīb hai bujhtī haiñ shab kī qindīleñ
falak pe ek sitārā hai so zavāl meñ hai
tire jamāl se rāh-e-visāl tak har ek
jo marhala hai mirī dastaras ke jaal meñ hai
ab aur mujh ko rulā.egī kyā shab-e-hijrāñ
mirā nasīb tire kūcha-e-malāl meñ hai
bahut kashish hai tirī sehr-kār āñkhoñ meñ
ajiib husn-e-adā tere ḳhadd-o-ḳhāl meñ hai
junūñ kī raah meñ har samt hai fareb-e-nazar
chalūñ junūb kī jānib qadam shumāl meñ hai
javāb us ne diyā hai ai nāma-bar lekin
vo baat ab bhī nahīñ jo mire savāl meñ hai
'sabā' ajiib sā jaadū hai us kī āñkhoñ meñ
na sāmrī meñ hai nargis meñ na ġhazāl meñ hai
wo dilkashi jo tere husn aur jamal mein hai
usi ka aks farozan mere KHayal mein hai
KHumar-e-tishna-labi mausam-e-junun-KHezi
kabhi ye hijr mein hai aur kabhi visal mein hai
kabhi sahar mein kabhi sham mein hai jalwa-numa
wo raushni jo tere husn-e-be-misal mein hai
wo naghmagi jo daraKHshan hai tere jalwon mein
na roz-o-shab mein farozan na mah-o-sal mein hai
sawad-e-sham mein tari hai sehr aur fusun
usi ka rang tere husn-e-la-zawal mein hai
hanuz jalwa-numa zindagi mein ho na saki
wo tamkanat jo tere qahr aur jalal mein hai
shikast-o-reKHt se milti hai zindagi ko numud
mere wajud ka unsur tere kamal mein hai
kisi jihat mein rawan hai ye karwan-e-hayat
bas ek raKHt-e-safar hai jo mah-o-sal mein hai
sahar qarib hai bujhti hain shab ki qindilen
falak pe ek sitara hai so zawal mein hai
tere jamal se rah-e-visal tak har ek
jo marhala hai meri dastaras ke jal mein hai
ab aur mujh ko rulaegi kya shab-e-hijran
mera nasib tere kucha-e-malal mein hai
bahut kashish hai teri sehr-kar aankhon mein
ajib husn-e-ada tere KHadd-o-KHal mein hai
junun ki rah mein har samt hai fareb-e-nazar
chalun junub ki jaanib qadam shumal mein hai
jawab us ne diya hai ai nama-bar lekin
wo baat ab bhi nahin jo mere sawal mein hai
'saba' ajib sa jadu hai us ki aankhon mein
na samri mein hai nargis mein na ghazal mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.