wo dilkashi teri kya husn-e-yar baqi hai
wo dilkashi teri kya husn-e-yar baqi hai
Mohammad Bin Hasan Sharar
MORE BYMohammad Bin Hasan Sharar
vo dilkashī tirī kyā husn-e-yār baaqī hai
shabāb baaqī na us kā ḳhumār baaqī hai
nigāh-e-shauq ne āñkhoñ se un ke pī thī kabhī
us ek jaam kā ab tak ḳhumār baaqī hai
tumhāre va.ada-e-fardā kā hai yaqīñ ab tak
tamām umr kaTī intizār baaqī hai
tasalliyoñ meñ miTāyā shu.ūr-e-ġham tum ne
tumhīñ batāo kahāñ e.atibār baaqī hai
mizāj-e-momin-e-millat samajh meñ aaya hai
jahāñ meñ tazkira-e-zulfiqār baaqī hai
rahegā taaj saroñ par yā sar kaTeñ us jā
is ek azm pe dār-o-madār baaqī hai
badal sakā na mizāj-e-junūñ abhī maiñ ne
'sharār' zehn pe kuchh intizār baaqī hai
wo dilkashi teri kya husn-e-yar baqi hai
shabab baqi na us ka KHumar baqi hai
nigah-e-shauq ne aankhon se un ke pi thi kabhi
us ek jam ka ab tak KHumar baqi hai
tumhaare wada-e-farda ka hai yaqin ab tak
tamam umr kaTi intizar baqi hai
tasalliyon mein miTaya shuur-e-gham tum ne
tumhin batao kahan eatibar baqi hai
mizaj-e-momin-e-millat samajh mein aaya hai
jahan mein tazkira-e-zulfiqar baqi hai
rahega taj saron par ya sar kaTen us ja
is ek azm pe dar-o-madar baqi hai
badal saka na mizaj-e-junun abhi main ne
'sharar' zehn pe kuchh intizar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.